cotton mattress : cotton for mattress: रुई का गादि
Mai aaj aap sabhi log ko cotton ke best gadde(mattess) ke bare me batane aaya hun.jo ki sasta mattress hota hai aur accha bhi hota hai.aur aap log ise use kar sakte hai
Aaj hum janenge
1.Types of cotton (rui ke prakar)
2.Best cotton for mattress(gadde me konsa cotton accha rahega)
3.Types of cotton mattress(gadda ke kitne prakar hote hai)
4.cheap mattress(sasta mattress)
Types of cotton.(kapus ke Prakar)
1.Black cotton (काला रुई)
2.white cotton (वाइट रुई)
3.Fibre cotton (फाय्बर रुई)
4.semar cotton (पेड का कपुस)
.What is Black cotton(ब्लैक कपुस किया है)
Black cotton (kapus) yeh colour wale kapde aur jeans se banta hai.kapdo ko machine me daala jaata hai aur fir machine ke andar un kapdo ko pijti hai aur us me se kapus(रुई) ke roop me bahar aata hai is ka colour black,red,blue aisa hota hai.colour cloth pe depend karta hai.
.What is white cotton(वाइट रुई किया है)
.There are two types of white cotton(दो प्रकार के वाइट रुई आते है)
1.Making from white cloth(वाइट कपडो से बनता है)
2.Farming of cotton(खेतों से आता है)
1.Making from white cloth(वाइट कपडो से बनता है)
yeh cotton jaise black kapus banate hai usi tarah se banta hai aur is me bhi kai prakar ke aata hai.
2.Farming of cotton(खेतों से आता है)
Yeh rui kheto me paida hota yeh soft aur bohot accha hota hai.aur is me bhi kai prakar ke rui aata hai thoda sa yeh ecpensive hota hai.
.What is fibre cotton(फाय्बर के रुई किया है)
Fibre ka cotton ek tarah se spring jaisa hota hai is ko yeh cotton jaldi dabta nahi hai is ko sabse jaada kusan jo ki sofa pe use kiya jata hai jaada tar us me use hota hai.
.What is Semar cotton
Semar cotton yeh pedo par ugta hai yeh cotton pillows ke liye sabse accha hota hai aur kai log to bolte hai is se sar dard bhi nahi hota.yeh semar ke ped par ugta hai.
2.Best cotton for mattress(gadde me konsa cotton accha rahega)
1.komer cotton mattress.
2.do number komer cotton mattress.
3.bleech cotton mattress
4.Fibre cotton mattress
5.black cotton mattress.
1.Komer cotton mattress.
yeh mattress ke liye bohot accha hota hai thoda sa yeh expensive hota hai lekin aap is ko life time use kar sakte ho.bas aap is 5 se 6 saal use karne ke baad me machine me daalkar cotton ko fir se fula kar new ki tarah kardo aur fir se use kar sakte ho.
2.Do number cotton mattress.
yeh bhi kommer ki tarah hota lekin thoda sa quality kommer ke muqable kam hota hai aur price bhi thoda kam hota hai ise bhi aap life time use kar sakte ho.
3.bleech cotton mattress.
yeh cotton white hota hai aur yeh white kapdo se banta hai is ka rate bhi kam hota hai aur ise bhi use kar sakte ho lambe samay tak.
4.Fibre cotton mattress.
Fibre cotton bohot soft aur yeh spring ki tarah se hota hai is se mattress jaldi dabta nahi hai aur yeh jaada se jaada sofe ke cusion me daala jaata hai.
5.Black cotton mattress.
Black cotton mattress sabse sasta hota hai .yeh bas normally 1 se 1.5 year tak use karne ke baad fekna padta hai.yeh bohot sasta cotton hota hai.
Types of Mattress(रुई के बैड के प्रकार)
1.Saada mattress
2.Box mattress
1.saada mattress.
saada mattress me cotton kam lagta hai aur yeh accha is liye bhi hota hai q ki is me pais bhi kam lagega q ki cotton kam hota hai.
2.Box matttess.
box mattres yeh charon taraf se kone par silai hota hai aur is me cooton jaada lagta hai q ki kone par jo silai hoti hai us me cotton ko dalne ka jagah ban jaata hai
Cheap cotton mattress(सस्ता गादि)
Sabse sasta gadi black cotton me padta hai.yeh cloth se bana hua cotton hota hai yeh ek baar kharab hone par fekna padega lekin white cotton mattress agar kharab hua to aap use machine me daalkar fir se naya ki tarah kar sakte ho.
How much kg cotton is used to making mattress(कित्ना किलो रुई डालना चाहिये गदी मे)
Ek gadi cotton us ke size ke hisab se daal jata hai.agar aap kam dalenge to woh 10 se 15 din me ek dum se dab jaayega.agar aap ko daily uthana rakhna hai to medium me dal sakte ho.aur agar thoda ek jagah jaise bed per ke liye chahiye to thoda jaada cotton daliye woh jaada din tak chalta hai.
Normal gadde me kapus itna laghbag dalwaye
3×6 =10 kg
4×6 =12 kg
5×6 = 15 se 20 kg
6×6 = 20 se 25 kg
Important Notice.
1.Mattress ko jab banwaye to banne ke baad aap ke bed ke size se 2 se 3 inch chota mattress hona chahiye qki woh dab ke thoda bada ho jaata hai.
2.Jab kahin banwaye to apne dekh rekh me jaada banwaye kai log dhoka dete hai.sab nahi balke 20 se 30 percent log.
Best mattress for back pain relief click below
Agar aap log Mumbai se ho to aap hamare yahan se aakar bhi bana sakte ho yeh hame order kar sakte ho aap ko hum kam paiso me accha mattress provide karenge.
Hamare yahan hamara khud ka karkhana hai jo ki hum ek wholesale me aapko provide karte hai
Aap hame order karne ke liye niche diye hue gmail pe contact kar sakte hai
For order
Email us = fzmattress@gmail.com


टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें
Please do not enter any spam link in the comment box